shaam walon na satao
kehta tha muhari ghurbat pe hamari bas kar na rulao
sar chacha ka mere is waaste gir jaata hai
inko behno ka khula sar jo nazar aata hai
ghayoor ke sar ko lillaah na logo naize pe uthao
shaam walon...
kya kya na sitam dhaaye hai ham par tum ne
hadh ye hai cheenli tatheer ki chadar tum ne
ab tum wahi chadar naize pe utha kar humko na dikhao
shaam walon...
hum ulil-amr hai shayad ye nahi tum ko khabar
hum agar chaahe to barse abhi tum par pathar
majboor samajhkar haye tum aale nabi par pathar na girao
shaam walon...
kaise naize pe uthaya gaya sar asghar ka
kaise pamaal kiya ibne-hassan ka laasha
ye zulm ke kisse mat saamne jaa ke maa'on ko sunao
shaam walon...
shaam-e-ashoor se ye soyi nahi hai ab tak
mai to roya hoo ye royi bhi nahi hai ab tak
tum maarlo mujhko haye par meri phuphi ko durre na lagao
shaam walon...
raaste bhar ye tadapte rahe pani ke liye
tum ko maloom nahi kab se hai pyase bache
bacho ko dikha kar is tarha zameen par pani na bahao
shaam walon...
aaj bat ti hai wahan naam pe zainab ke rida
kal takallum wahan bemaar mera kehta raha
ye aale nabi hai haye tum aise na inko be-parda phirao
shaam walon...